Thursday, 2 July 2009

Ichaaien, kuch dabee see........


Jadoo hai, ek kashish see hai
Ichaaien, kuch dabee see hai
Shabdon mein byaan kaise karein
Zamane se kaise ladein

Teri khusboo, teri parchaiyan, teri muskurahatein,
Tere asar ki hain sab aahatein
Tumse se hein roshan mera jahaan
Sochta hoon, kya ye kafi nahin yahaan

Sabhi kuch hasil ho hamen ye zaroori to nahin
Har kwhaish puri ho zaroori to nahin
Is bheed bhari udasin zindagi mein tera ehsass
Ek tapish, ek aag, ek chingari, ek pyass

Shayad iss ehsass ki talash he ab zindagi ka sabab hai
Hasil ho, na ho, ek adad koshish zaroori hai
Uljhan ye hai ke iss koshish mein tumhe shaamil kare ya nahin
Dar iss baat ka hai, ke tum na kardo jo kahin

Door se hi sahi, lekin hamen yakin hain
Tere jamal se roshan sirf humhi nahin hain
Kash, hum iss dariche ko khol paatein
Apene Jazbaton ko darz kara paatein

Jadoo hai, ek kashish see hai
Ichaaien, kuch dabee see hai
Shabdon mein shayad humnein bayaan kar to diya
Kash, hum magar khude se bhi lad paatein